July 11, 2010

Kahaan hain ?

Yeh masnui chiraag ko ab bujhaa do
woh noor-e-nujoom woh anwar-e-ilaahi kahaan hain
Yeh sarv khad imaaraton ko pabajaula rakho
Woh ku-e-yaar woh ahl-e-ishq kahaan hain
Yeh kaar guzaari me kyaa rakhaa hain
Woh khaak bhar sar woh chaak-e-daaman kahaan hain
Yeh aashiqon ke andaaz pe karta hoon tanah
Woh lahu-e-jigar woh jurm-e-mohabbat kahaan hain
Yeh maikhaane me jaam ki hain na kami lekin
Woh mast-e-khumaar woh jasbah-e-junoon kahaan hain
Yeh rakht-e-safar ka dumsaaz mere siwa kaun hain
Woh ahl-e-wafa woh aatish-e-khwaar kahaan hain..

1 Comments:

Blogger Unknown said...

all are in tokyo

4:31 AM  

Post a Comment

<< Home